Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun, Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hun.
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake Main Woh Ek Musht-e-Ghubaar Hun..

Na To Main Kisi Ka Habeeb Hun, Na To Main Kisi Ka Raqeeb Hun.
Jo Bigad Gaya Woh Naseeb Hun, Jo Ujad Gaya Woh Dayaar Hun..

Mera Rang Roop Bigad Gaya, Mera Yaar Muhjse Bichad Gaya.
Jo Chaman Khizaan Mein Ujad Gaya, Main Usi Ki Fasl-e-Bahaar Hun..

Pay- Faatiha Koyi Aaye Kyun, Koyi Chaar Phool Chadaye Kyun..
Koyi Aake Shama Jalaye Kyun, Main Woh Be-Kasi Ka Mazaar Hun..

Main Kahaan Rahoon Main Kahan Basoon, Na Yeh Mujhse Khush Na Woh Mujhse Khush..

Main Zameen Ki Peeth Ka Bojh Hun, Main Falak Ke Dil Ka Ghubaar Hun..
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun, Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hun..
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake Main Woh Ek Musht-e-Ghubaar Hun..!!!!
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!