Home » , , , , , , , , , , » Dil-E-Nadaan Tujhe Hua Kya Hai by Mirza Ghalib
Dil-E-Nadaan Tujhe Hua Kya Hai by Mirza Ghalib

Dil-E-Nadaan Tujhe Hua Kya Hai
Aakhir Is Dard Ki Dawa Kya Hai

Ham Hain Mushtaaq Aur Wo Bezaar
Yaa Ilaahi Ye Maajra Kya Hai

Main Bhi Munh Main Zabaan Rakhta Hoon
Kaash Pucho Ki Mudda Kya Hai

Jab Ki Tujh Bin Nahin Koi Maujood
Phir Ye Hangaama, Ai Khuda Kya Hai

Ye Pari Chehra Log Kaise Hain
Gamaza-O-Ishva-O-Adaa Kya Hai

Shikan-E-Zulf-E-Ambari Kyun Hai
Nigah-E-Chashm-E-Surma Sa Kya Hai

Sabza-O-Gul Kahaan Se Aaye Hain
Abr Kya Cheez Hai Hawa Kya Hai

Hamko Unse Wafa Ki Hai Ummeed
Jo Nahin Jaante Wafa Kya Hai

Haan Bhala Kar Tera Bhala Hoga
Aur Darvesh Ki Sadaa Kya Hai

Jaan Tum Par Nisaar Karta Hoon
Main Nahin Jaanta Dua Kya Hai

Main Ne Maana Ki Kuch Nahin ‘Ghalib’
Muft Haath Aaye To Bura Kya Hai
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!

Leave a Reply