gair kya janiye kyo mujhko bura kahte hai.. 
ap kahte hai jo aisa to baja kahte hai..!! 
 
waqai tere iss andaj ko kya kahte hai.. 
na wafa kahte hai jiss ko na jafa kahte hai..!! 
 
ho jinhen shaq wo kare aur khudaon ki talash.. 
ham to insan ko duniya ka khuda kahte hai..!! 
 
teri suratt nazar ai teri surat se alaag.. 
hushn ko ahale-nazar husn numa kahte hai..!! 
 
shikawae hizr kare kiss diil se.. 
ham khud apne ko bhi apne se juda kahte hai..!! 
 
teri rudade sitam ka hai baya namumkiin.. 
fayda kya hai magr yu zara kahte hai..!! 
 
log jo kuch bhi kahe teri sitam koshi ko.. 
ham to in bato ko achchha na bura kahte hai..!! 
 
auro ka tajurba jo kuchh ho magr ham to "Firaq".. 
Talkhie zist ko jine ka maza kahte hai..!! 
 
 
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!