Mai bhul jaun ab yahi munasib hai..
magar bhulana bhi chahu to kis tarah bhulu.. 

ki tum to phir bhi haqiqat ho koi khwab nahi..
yaha to dil ka ye alam hai kya kahu.. 

kambakht..
bhula ska na ye silsila jo tha hi nahi.. 

wo ikk khyal..
jo awaz tak gya hi nahi.. 

wo ek bat..
jo mai kah nahi ska tum se.. 

wo ek rbt..
wo ham me kabhi rha hi nahi.. 

mujhe hai yad wo sab..
jo kabhi hua hi nahi.. 

agar ye hal hai dil ka to koi samjhae..
tumhe bhulana bhi chahu to kiis tarah bhulu..
ki tum to phir bhi haqiqat ho koi khwab nahi..!!!
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!