Firte hai kab se darb-dar ab is nagar ab uss nagar..
ekk dusre ke hamsfar mai aur meri awargi..
na ashna har rahguzar na meharba hai ekk nazar..
jaye to ab jaye kidhar mai aur meri awargi..
 
ham bhi kabhi abad the aise kaha barbad the..
befikr the azad the masrur the dilshad the..
wo chal aisi chal gya ham bujh gye diil jal gya..
nikle jala ke apna ghar mai aur meri awargi..
 
wo mahe-wash wo mahe-ruh wo mahe-kamil hubahu..
thi jis ki bate kubku us se ajab thi guftgu..
phir yu hua wo kho gai aur mujh ko zid si ho gai..
layenge us ko dhund kar mai aur meri awaragi..
 
ye dil hi tha jo sah gya wo bat aisi kah gya..
kahne ko phir kya rah gya ashko ka dariya bah gya..
jab kah kar wo dilbar gya te liye mai mar gya..
rote hai us ko rat bhar mai aur meri awargi..
 
ab gam uthaye kis liye ye diil jalaye kis liye..
aansu bahaye kis liye yu jan gwaye kis liye..
pesha na ho jis ka sitam dhundenge ab aisa sanam..
honge kahi to kargar mai aur meri awargi..
 
asar hai sab khot ke imkan hai sab chot ke..
ghar band hai sab kot ke ab khatm hai sab totke.. 
qismat ka sab ye khel hai andher hi andher hai..
aise hue hai beasar mai aur meri awargi..
 
jab hamdamo hamraz tha tab aur hi andaz tha..
ab soz hai tab saz tha ab sharm hai tab naz tha..
ab mujh se ho to ho bhi kya hai sath wo to wo bhi kya..
ekk behunar ekk besbar mai aur meri awargi..!!!
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!