Dur se dur talak ek bhi darkht na tha..
tumhare ghar ka safar iss qadar to sakhat na tha..
 
itne masruf the hum jane ki taiyari me..
khade the tum aur tumhe dekhne ka waqat ka tha..
 
mai jiis ki khoj me khud kho gya tha mele me..
kahi wo mera hi ehsas to kambakht na tha..
 
jo zulam sah ke bhi chup rah gya na khaul utha..
wo aur kuch ho magar adami ka rakt na tha..
 
unhi faqiro ne itihas banaya hai yaha..
jin pe itihas ko likhane ke liye waqt na tha..
 
sharab kar ke piya us ne zahar jeewan bhar..
hamare shwhar me “Neeraj” sa koi mast na tha..!!!
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!