Tum khuda ho..
khuda ke bete ho...
ya faqat aman ke paigambar ho..
ya kisi ka hasi takhyul ho..
jo bhi ho mujh ko achhe lagte ho..
mujh ko sacche lagte ho...
 
iis sitare me jis me sadiyon se...
jhuth aur kizb ka andhera hai..
iis sitare me jis ko har rukh se...
rangti sarhado ne ghera haii...
 
iis sitare me jiis ki abadi..
aman boti hai jang katti hai..
 
Raat piti hai noor mukhadon ka..
subah seeno ka khoon chatati hai..
 
tum na hote to jane kya hota...
tum na hote to iis sitare me..
dewata rakshass gulam imam..
prasa rind rehbar rehzan..
birehman shaikh padari bhikshu..
sabhii hote magar hamaare liye..
kaun chadta khushi se sooli par..
 
jhonpadon me ghira ye virana..
machhliyan diin me sukhati hai jahan...
billiyan dur baithi rahti hai..
aur kharish zada se kuchh kutte..
lete rahate hai be-niyazana..
Dam marode ke koi sar kuchalen..
katana kya ye bhonkate bhi nahi..
 
aur jab wo dahakta angara...
chhan se sagar me dub jata hai..
tirgi od leti hai duniya..
kashtiyan kuchh kinare aati hai..
bhang ganja charas sharab afim..
jo bhi layen jahan se bhi layen..
daudte hai idhar se kuchh saye..
aur sab kuchh utar late hai...
 
gadi jati hai adal ki mizan..
jis ka hissa usi ko milta hai..
 
tum yahan kyo khade ho muddat se..
ye tumhari thaki thaki bheden..
raat jin ko zamin ke sine par..
subah hote undel deti hai..
mandiyon daftaron milon ki taraf..
hank deti dhakel deti hai..
raste me ye rukk nahi sakati..
tod ke ghutne jhuk nahi sakati..
 
in se tum kya tawaqqo rakhte ho..
bhediya in ke sath chalata hai..
 
takte rahte ho us sadak ki taraf..
dafan jis me kai kahaniya hai..
dafan jis me kai jawaniyan hai..
jis pe ik sath bhagi firti hai..
Khali jebe bhi aur tijoriyan bhi..
 
jane kiis ka hai intzar tumhe..
 
mujh ko dekho ke mai wahi to hu..
jiis ko kodon ki chhanw me duniya..
bechati bhi kharidati bhi thi..
 
mujh ko dekho ke mai wahi to hu..
jis ko kheto me aise bandha tha..
jaise main un ka ekk hissa tha..
khet bikte to mai bhi biktaa tha..
 
mujh ko dekho ke mai wahi to hu..
kuchh mashine banai jab mai ne..
un mashino ke malikon ne mujhe..
bejhijhak un me aise jhaunk diya..
jaise mai kuchh nahi hu indhan hu..
 
mujh ko dekho ke mai thaka hara..
fir raha hu yugo se awara..
 
tum yahan se hato to aaj ki raat..
so rahun mai isi chabutare par..
 
tum yahan se hato khuda ke liye..
 
jao wo vietnam ke jangal..
us ke maslub shahar zakhmi ganv..
jin ko inzil padane walon ne..
raund dala hai phunk dala hai..
 
jane kab se pukarte hai tumhe..
 
jao ikk bar phir hamare liye..
tum ko chadhna padega suli par..!!!!!
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!