tadpate hai na rote hai na ham fariyad karte hai..
sanam ki yad me hardam khuda ko yad karte hai..
unhi ke ishq me ham nala-o-fariyad karte hai..
ilahi dekhiye kis din hame wo yad karte hai..
shabe-furqat me kya kya sanp laharate hai sine par..
tumhari kakule-pechan ko jab ham yad karte hai...!!!!