suun to sahi jahan me hai tera fasana kya..
kahti hai tujh se khalqe-khuda gaibana kya..
zina saba ka dhundhati hai apni mushte-khak..
bame-baland yar ka hai astana kya..
aati hai kiis tarah se meri kabze-ruh ko..
dekhun to maut dhundh rahi hai bahana kya..
betab hai kamal hamara dile-azim..
mehman saraye-jism ka hoga ravna kya..!!!