Rooh bechain hai ikk dil ki aziyat kya hai..
dil hi shola hai to ye soz-e-mohabbat kya hai..
wo mujhe bhul gai iski shikayat kya hai..
ranj to ye hai ke ro ro ke bhulaya hoga...
 
wo kahan aur kahan kahif-e-gam sozishe jan..
us ki rangin nazar aur nuqushe hirman..
us ka ehsase latif aur shikaste arman...
tanazan ek zamana nazar aya hoga...
 
jhuk gai hogi jawan sal umango ki jabin..
miit gai hogi lalak dub gaya hoga yaqin...
chha gya hoga dhuan ghum gai hogi zamin...
apne phale hi ghronde ko jo dhaya hoga...
 
dil ne aise bhi kuch afsane sunaye honge..
ashk aankho ne piye aur na bahaye honge..
band kamre me jo khat mere jalaye honge...
ek ik harf jabin par ubhar aaya hoga..
 
us ne ghabrake nazar lakh bachai hogi..
mitake ik naqsh ne sau shaql dikhai hogi...
mez se jab meri tasvir hatai hogi..
har taraf mujh ko tadpta hua paya hoga..
 
bemahal chhed pe jazbat ubal aye honge..
gam pasheman tabassum me dhal aye honge..
naam par mere jab ansu nikal aaye honge..
sar na kandhe se sahali ke uthaya hoga..
 
zulf zeed kar ke kisi ne jo banai hogi...
Ruthe jalwo pe khizan aur bhi chhai hogi..
barq ashwon ne kai diin na girai hogi...
rang chehare pe kai roz na aaya hoga…
 
hoke majbur mujhe us ne bhulaya hoga...
zahar chup kar ke dawa jan ke khaya hoga..!!!
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!