Kuchh chhote sapno ke badal,badi nind ka sauda karne,
Nikal pade hain paon abhage,Jaane kaun dagar thaharenge.


Wahi pyas ke angarh moti,wahi dhup ki surkh kahani,
Wahi aankh me ghutkar marti,wahi dhoop ki surkh kahani,

Har mohre ki muk viwashta,chaushar ke khane kya jane,
Haar jeet tay karti hai ve,aaj kaun se ghar thahrenge.

Nikal pade hain paon abhage jaane kaun dagar thahrenge.
Kuch palkon me band chandani,kuch hoton ke kaid tarane,

Manzil ke gumnaam bharose,sapno ke lachar bahane,
jinki zeedd ke aage suraj morpankh se chhaya mange,

Unke bhi durbhagya iraade,veena ke swar par thahrenge,
Nikal pade hain paon abhage jaane kaun dagar thahrenge...

Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!