Hazaaron  khwahishein  aisi ke har khwahish pe dum nikle
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle.

Daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardan par?
woh khoon,jo chashme-tar se umr bhar yu dum-ba-dum nikle

Dare kyon mera qatil? kya rahega us ki gardan par?
woh khoon,jo chashme-tar se umr bhar yu dum-ba-dum nikle

Nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hain lekin
Bahut be-aabru hokar tere kuche se hum nikle.

Bharam khul jaye zaalim! teri qaamat ki darazi ka
Agar is tirahe par pech-o-kham ka pech-o-kham nikle.

Magar likhwaye koi usko khat, to hum se likhwaye
Hui subah, aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle.

Hui is daur mein mansoob mujh se bada aashaami
Phir aaya woh zamaana, jo jahaan mein jaam-e-jaam nikle.

Hui jin se tawaqqa khastagi ki daad pane ki
woh hum se bhi zyada khasta e tegh e sitam nikle.

Mohabbat me nahi hai farq jeene aur marne ka
Usi ko dekh kar jeete hain, jis kaafir pe dum nikle. 

Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle
Jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dum nikle.

Khuda ke waste parda na qaabe se utha zaaleem
Kahi aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle.

Kahaa maikhane ka darwaza Ghalib aur kahaa waaiz
Par itna jaante hain kal woh jata tha ke hum nikle.

Hazaaron khwahishein aisi ke har khwahish pe dum nikle
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle...
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!