Home » 3/1/12 - 4/1/12
Tere aane ki jab khabar mahke by Nawaz Deobandi


Tere aane ki jab khabar mahke..
tere khushbu se sara ghar mahke.. 


sham mahke tere tasawwur se..
sham ke bad phir sehar mahke.. 


Rat bhar sochta raha tujh ko..
zahano-diil mere rat bhar mahke.. 


yad aaye to diil munawwar ho..
did ho jaye to nazar mahke.. 


wo ghadi do ghadi jahan baithe..
wo zamin mahke wo shajar mahke..!!!!

saqiya tera israr apni jagah by Nawaz Deobandi


saqiya tera israr apni jagah..
tere maikash ka inkar apni jagah.. 


tej apni jagah dar apni jagah..
aur haqiqat ka izhar apni jagah.. 


ab khandahr hai khandar hi kaho dosto..
shis mahalon ke asar apni jagah.. 


tur par lakh musa se ho guftagu..
arshe-azam pe didar apni jagah.. 


awwalan haq ne takhliq jiis ko kiya..
sab ke bad us ka izhar apni jagah.. 


mukhtsar ye bata sar bakaf kaun tha..
jit apni jagah har apni jagah.. 


bhai se bhai ke kuch taqaze bhi hai..
sahan ki bich ki diwar apni jagah...!!!

Leke mazi ko jo hal aaya to diil kanp gaya by Nawaz Deobandi


Leke mazi ko jo hal aaya to diil kanp gaya..
jab kabhi unka khyal aaya to diil kanp gaya... 


aisa toda tha mohabbat me kisi ne diil ko..
jab kisi shishe me bal aaya to dil kanp gaya.. 


sar bulandi pe to magrur the ham bhi lekin...
chadhate suraj pe zawal aaya to dil kanp gaya.. 


badnazar uthane hi wali thi kisi ki janib..
apane beti ka khayal aaya to diil kanp gaya..!!!

judai ho ke milan har ada hamari hai by Manzar Bhopali


judai ho ke milan har ada hamari hai..
tumhara shehar hai lekin fiza hamari hai..
 
shikayten bhi karen ham to kiis zuban se Karen..
khuda banaya ham ne ye khata hamari hai..
 
hamare jiism ki uriyanat pe mat hansna..
ke tum jo odhe hue ho wo rida hamari hai..
 
hamare samane zeba nahin gurur tumhe..
jahan pe baithe ho tum wo jaga hamari hai..!!!

Dil hai hire ki kani zism gulabo wala by Manzar Bhopali


Dil hai hire ki kani zism gulabo wala..
mera mehbob hai darsl kitabo wala..
 
Husn hai rang hai shokhi hai ada hai us me..
ekk hi jam magar kitani sharabo wala..
 
yar aina hua karte hai yaro ke liye..
tera chehra to abhi tak hai naqabo wala..
 
Mujh se hogi nahi duniya ye tizarat dil ki..
mai karun kya ke mera zahan hai khawabo wala..
 
tu rahega na tere zulm rahenge baqi..
diin to ana hai kisi rozz hisabo wala..
 
husne-bebak se ho jati hai aankhe roshan..
dil me utara hai magar rup hijabo wala..
 
jo nazar ata hai hasil nahi hota 'manzar'..
zindagani ka safar bhi hai sarabon wala...!!!

badalte waqt ka ikk silsila sa lagta hai by Manzar Bhopali


badalte waqt ka ikk silsila sa lagta hai...
ke jab bhi dekho use dusra-sa lagta hai..
 
tumhara husn kisi adami ka husn nahi..
kisi buzurg ki sachchi dua sa lagta hai..
 
teri nigah ko tamiz rango-nur kahan..
mujhe to khun bhi range-hina sa lagta hai..
 
dimago-dil ho agr mutmai to chhaon hai dhup..
thapeda lu ka bhi thandi hawa sa lagta hai..
 
wo chhat pe aa gya betab ho ke aakhir..
khuda bhi aaj sharike-dua sa lagta hai..
 
tumhara hath jo aya hai hath me mere.. 
ab aitbar ka mausam har-sa lagata hai...
 
nikal ke dekho kabhi nafarton ke pinjare se..
tamam shehar ka "manzar" khula sa lagta hai...!!!