phir toot ke rone ki rut aayi hai
phir se dilon ke zakham nikhartay jaate hain

jhooti -sachi taabiron ki khwaahish hai
kaise kaise khwaab bikharte jate hain

kaise kaise yaaron ka behroop khula
kaise kaise khol utarte jaate hain

In haalon kab apne aap ko dekha tha ?
kehne ko din raat guzarte jaate Hain

raahgeeron ki khamoshi ko gour se sun,
yun hai jaise maatam karte jaate hain

kabhi kabhi koi aisa musafir aata hai
raste apne aap sanwarte jaate hain

sheher-e-ghazal ki galiyon mein dilgeer tere
tujh se teri baatein karte jaate hain….
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!