hui hai shaam to aankhon mein bas gaya phir tu
kahaan gayaa hai mere shahar ke musafir tu.

bahot udaas hai ek shakhs tere jane Se
jo ho sake to chala aa usi ki khatir tu.

meri misal ke ek kahl-e-khushk-e-sahara hu
tera khayal ke shaakh-e-chaman ka ta_ir tu.

main janta hu ke duniya tujhe badal degi
main manta hu ke aisa nahi bazahir tu.

hansi khushi se bichhad ja agar bichhadna hai
ye har maqaam pe kya sochta hai aakhir tu..?

‘Faraz’ tune use mushkilon mein daal diya
zamana Saahib-e-zar aur sirf shayar tu….
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!