ye tasalli hai ke hain nashad sab
main akela hee nahin barbad sab
sabki khatir hain yahan sab aznabi
aor kahne ko hain ghar aabad sab
bhool ke sab ranjishen sab ek hain
main bataun sabko hoga yad sab
sab ko dava-e-wafa sabko yakin
is adakari main hain ustad sab
shahar ke hakim ka ye farman hai
qaid main kahlayenge aazad sab
char lafzon main kaho jo bhi kaho
usko kab fursat sune fariyad sab
tlkhiyan kaise n hon ashaar main
hum pe jo guzri humain hai yad sab.....