Home » , , , , , , , , » Haan Dil-E-Dardmand Zam-Zamaa Saaz by Mirza Ghalib
Haan Dil-E-Dardmand Zam-Zamaa Saaz by Mirza Ghalib

Haan Dil-E-Dardmand Zam-Zamaa Saaz
Kyun Na Khole Dar-E-Khazina-E-Raaz
Khaame Ka Safhe Par Ravaan Hona
Shaakh-E-Gul Ka Hai Gul-Fishaan Hona
Mujh Se Kya Poochta Hai Kya Likhiye
Nuqtaa Haaye Khiradafishaan Likhiye
Baare, Aamon Ka Kuch Bayaan Ho Jaaye
Khaama Nakhle Ratbafishaan Ho Jaaye
Aam Ka Kaun Mard-E-Maidaan Hai
Samar-O-Shaakh, Guve-O-Chaugaan Hai
Taak Ke Jee Main Kyun Rahe Armaan
Aaye, Ye Guve Aur Ye Maidaan!
Aam Ke Aage Pesh Jaave Khaak
Phodtaa Hai Jale Phaphole Taak
Na Chalaa Jab Kisi Tarah Maqadoor
Baada-E-Naab Ban Gaya Angoor
Ye Bhi Nachaar Jee Ka Khona Hai
Sharm Se Paani Paani Hona Hai
Mujhse Puchho, Tumhen Khabar Kya Hai
Aam Ke Aage Neshakar Kya Hai
Na Gul Us Main Na Shaakh-O-Barg Na Baar
Jab Khizaan Aaye Tab Ho Us Ki Bahaar
Aur Daudaaie Qayaas Kahaan
Jaan-E-Shireen Main Ye Mithaas Kahaan
Jaan Main Hoti Gar Ye Shirini
‘Kohkan’ Bawajood-E-Gamgini.......
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!

Leave a Reply