Home » , , , , , , , , , , » Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Bagair by Mirza Ghalib
Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Bagair by Mirza Ghalib

Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Bagair
Jaanega Ab Bhi Tu Na Mera Ghar Kahe Bagair

Kahte Hain, Jab Rahi Na Mujhe Taaqat-E-Sukhan
Jaanun Kisi Ke Dil Ki Main Kyunkar Kahe Bagair

Kaam Us Se Aa Pada Hai Ki Jiska Jahaan Main
Leve Na Koi Naam Sitamgar Kahe Bagair

Jii Main Hi Kuch Nahin Hai Hamaare Vagarna Ham
Sar Jaaye Ya Rahe Na Rahen Par Kahe Bagair

Chhodunga Main Na Us But-E-Kaafir Ka Pujna
Chhode Na Khalq Go Mujhe Kaafir Kahe Bagair

Maqsad Hai Naaz-O-Gamza Vale Guftagu Main Kaam
Chalta Nahin Hai, Dashna-O-Khanjar Kahe Bagair

Har Chand Ho Mushahida-E-Haq Ki Guftagu
Banati Nahin Hai Baada-O-Saagar Kahe Bagair

Bahara Hoon Main To Chahiye Duna Ho Iltafaat
Sunta Nahin Hoon Baat Muqarrar Kahe Bagair

“Ghalib” Na Kar Huzur Main Tu Baar-Baar Arz
Zaahir Hai Tera Haal Sab Un Par Kahe Bagair......
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!

Leave a Reply