Home » , , , , , , , , , , » Diya Hai Dil Agar Us Ko, Bashar Hai Kya Kahiye by Mirza Ghalib
Diya Hai Dil Agar Us Ko, Bashar Hai Kya Kahiye by Mirza Ghalib

Diya Hai Dil Agar Us Ko, Bashar Hai Kya Kahiye
Hua Raqeeb To Ho, Naamabar Hai, Kya Kahiye

Ye Zid, Ki Aaj Na Aave Aur Aaye Bin Na Rahe
Qazaa Se Shikva Hamain Kis Qadar Hai, Kya Kahiye

Rahe Hai Yun Gah-O-Begah Ke Ku-E-Dost Ko Ab
Agar Na Kahiye Ki Dushman Ka Ghar Hai, Kya Kahiye

Zih-E-Karishma Ke Yun De Rakha Hai Hamko Fareb
Ki Bin Kahe Hi Unhe Sab Khabar Hai, Kya Kahiye

Samajh Ke Karte Hain Bazaar Main Vo Pursish-E-Haal
Ki Ye Kahe Ki Sar-E-Rahguzar Hai, Kya Kahiye

Tumhen Nahin Hai Sar-E-Rishta-E-Wafa Ka Khayaal
Hamaare Haath Main Kuch Hai, Magar Hai Kya Kahiye

Unhe Sawaal Pe Zaom-E-Junoon Hai, Kyun Ladiye
Hamain Jawaab Se Qata-E-Nazar Hai, Kya Kahiye

Hasad Saza-E-Kamaal-E-Sukhan Hai, Kya Kije
Sitam, Baha-E-Mataa-E-Hunar Hai, Kya Kahiye

Kaha Hai Kisne Ki “Ghalib” Bura Nahin Lekin
Sivaay Iske Ki Aashuftaasar Hai Kya Kahiye
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!

Leave a Reply