Home » , , , , , , , , , » Dard Minnat Kashe-Davaa Na Hua by Mirza Ghalib
Dard Minnat Kashe-Davaa Na Hua by Mirza Ghalib

Dard Minnat Kashe-Davaa Na Hua
Main Na Achchaa Hua, Bura Na Hua
Jamaa Karte Ho Kyun Raqeebon Ko
Ik Tamasha Hua Gilaa Na Hua
Ham Kahaan Qismat Aazmaane Jaayen
Tu Hi Jab Khanjar Aazmaa Na Hua
Kitne Shirin Hain Tere Lab Ke Raqeeb
Gaaliyaan Khaake Bemazaa Na Hua
Hai Khabar Garm Unke Aane Ki
Aaj Hi Ghar Main Boriya Na Hua
Kya Wo Namrud Ki Khudai Thi
Bandagi Main Mera Bhalaa Na Hua
Jaan Di, Di Hui Usi Ki Thi
Haq To Yun Hai Ke Haq Ada Na Hua
Zakhm Gar Dab Gaya Lahu Na Thama
Kaam Gar Ruk Gaya Rava Na Hua
Rahzani Hai Ki Dilsitaane Hai
Leke Dil, Dilsitaan Ravaa Na Hua
Kuch To Padhiye Ki Log Kahte Hain
Aaj ‘Ghalib’ Gazalsaraa Na Hua
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!

Leave a Reply