Home » , , , , , , , , , » Bas Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona by Mirza Ghalib
Bas Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona by Mirza Ghalib

Bas Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona
Admi Ko Bhi Mayassar Nahin Insaan Hona
Giriya Chaahe Hai Kharabi Mere Kashaane Ki
Dar-O-Deewar Se Tapke Hai Bayabaan Hona
Waa-E-Deewangi-E-Shauq Ke Har Dam Mujh Ko
Aap Jaana Udhar Aur Aap Hi Hairaan Hona
Jalwa Azbas Ke Taqaaza-E-Nigah Karta Hai
Jauhar-E-Aaina Bhi Chaahe Hai Mizagaan Hona
Ishrat-E-Qatlgah-E-Ahal-E-Tamanna Mat Pooch
Eid-E-Nazzara Hai Shamshir Ka Uriyaan Hona
Le Gaye Khaak Main Ham Daag-E-Tamanna-E-Nishaat
Tu Ho Aur Aap Basad Rang-E-Gulistaa N Hona
Ishrat-E-Paara-E-Dil, Zakhm-E-Tamanna Khana
Lazzat-E-Rish-E-Jigar Garq-E-Namakdaan Hona
Ki Mere Qatl Ke Baad Us Ne Jafaa Se Tauba
Haaye Us Zodpashemaan Ka Pashemaan Hona
Haif Us Chaar Girah Kapde Ki Qismat ‘Ghalib’
Jis Ki Qismat Main Ho Aashiq Ka Garebaan Hona...
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!

Leave a Reply